Youtube Facts in Hindi
Youtube par din ba din laakho croro log badhte hi jaa rahe hai.
Lekin kya kabhi aapne youtube ki kuch baaton par dhyan diya hai.
jaise, youtube duniya me kab aaya, youtube ka malik kon hai, Youtube pe sabse jyada kon kamata hai etc.
To aap bilkul bhi chinta mat kariye me aapko youtube ke baare me 10 Amazing Youtube Facts bataunga. ye youtube facts sunkar aap ke muhse niklega wow kya facts hai.
अनुक्रम
Youtube Ka Janm Kab Hua
aapke man me ye sawaal jaroor aata hoga ki youtube kab aaya to is ka jawaab hum aapko batayenge. iska jawaab bahot hi ajeebsa hai.
Ans. Youtube ka janam Valentine day ko huwa tha.
Ji ha dosto youtube ka janam 14th February 2005 ko hua.
javed Karim, Chad hurley, Steve Chen in 3 log ne youtube.com naam ka domain kharida or 2 mahine us par kaam kiya or apna sabse pehla video dala 2005 me.
YOUTUBE’S First Video:- https://www.youtube.com/watch?v=jNQXAC9IVRw
Youtube se paise kaise kamaye – puri jaankari hindi me
GOOGLE ne YOUTUBE ko kitne rupaye me kharida
Jaisa ki aapne ye jaan liya ki youtube ka janam 14th february ko huwa.
ab aapko batadu ki october 2006 me GOOGLE ne YOUTUBE ko Kharid liya $ 1.65 Billion Dollers me.
Iska matlab kuch 12-13 hazar crore rupaye me. Ek hi saal me 3 logo ne itna kamaya. Kamaal ki baat hai.
youtube kitne version me available hai
Kya aapko maalom hai ki youtube kitne version me available hai. Is ka jawaab bhi me aapko dunga.
Ans. Youtube all world me 98 Version me available hai.
For Example:- youtube.com, youtube.co.uk, youtube.us, youtube.uk etc
Youtube pe HD Support kab aaya
Dosto bata du aapko ki 2009 se pehle 480p hi sabse top pe tha.
2009 me 720p (HD) ka Support youtube me aaya.
Youtube Search
Aap sabhi ye baat to jaante hi honge ke duniya ka sabse bada search engine GOOGLE hai.
Sabse badi baat to ye hai ki GOOGLE ke Baad hi YOUTUBE ka number aata hai.
ji ha dosto YOUTUBE duniya 2nd Largest Search Engine hai.
Kyu aesa na ho kyu ki youtube par 1 minute me 300 ghante ke videos upload hote hai. jo ki bilkul kamal ki baat hai.
Youtube Total Global Reach Kitna hai
Globally Youtube ka Reach 2 billion User hai.
Or Daily Active users ki baat karen to 30 million hai yaani 3 crore log daily youtube par active hote hai. Thats Amazing Fact Man.
Or ek baat batdun aapko ki Duniya bhar me 70% log apne mobile me Youtube use karte hai. India ki baat kare to 95% log mobile se youtube use karte hai.
Youtube Longest Video konsa hai
Dosto kya aap ye jaante hai YOUTUBE pe sabse lamba video konsa hai.
To iska jawaab ahai 596.5 Hours. ji ha dosto YOUTUBE par sabse lamba video 596.5 Hours ka hai bas kuch 25-26 Din lag jaayenge is video ko dekhne me.
Longest Video On YOUTUBE- Link:- https://www.youtube.com/watch?v=04cF1m6Jxu8
Some Cool Records
Youtube par Billion Views Cross karne waala sabse pehla video GANGAM STYLE hai.
Uske baad kai videos aaye jaise DESPACITO
Lekin Sabse ajeeb baat ye hai ki YOUTUBE ka khud ka video jispar sabse jya da dislikes aaye.
2018 me jo youtube rewind videos hote hai uspar 17 million dislikes aaye hai.
Yaani Likes se bhi jyada dislikes aaye. sunkar ajeeb sa lag raha hai.
Online Paisa kamane ke 5 tarike – Puri jaankaari hindi me
Youtube se sabse jyada paisa kaun kamata hai (Yotube’s Highest Earner)
Kya dosto aap ye jaante hai ki youtube se sabse jyada paisa kon kamata hai.
YOUTUBE se sabse jyada paise ek 8 saal ka ladka kamata hai jinka naam RYAN KAJI hai.
wo apne channel par baccho ke toy’s unbox karte hai.
Ryan Kaji earning 2019 me $26 Million Dollar. 200 Crore Approx.
Dude Perfect Earning $20 Million Dollar in 2019. 150 – 160 Crore Approx.
Bonus :-
Sabse jyada likes konse video par hai.
iska jawaab hai aap batao….???
To ummed hai dosto ye youtube amazing fact’s aapko jarror acche lage honge.
acche lage hai to comment jaroor kariye share karna bilkul bhi mat bhuliye taki apke friend relatives ko bhi kuch knowledge mile.
Sukriya…
Leave a Reply